Instagram Kya Hai | How to create Instagram account (Step by Step)
Hello Friends, Jaisa ki aap sab jante hai aaj ki duniya me jyadatar log social sites par apna samay bitate hai. Chahe wo personal use ke liye ho ya phir Business ke liye. Aaj hum aese hi popular Social Media App ke baare me baat karne ja rahe hai. Jiska naam hai Instagram. Aaj hum baat karenge Instagram kya hai aur Instagram App itna popular kyon
hai. Instagram ek Social site hai Facebook, Twitter aur WhatsApp ki tarah. But is site ka use jyadatar photo aur video sharing ke liye kiya jata hai. To chaliye jante hai Instagram kya hai aur New Instagram account kaise banaye aur sath hi baat karenge Instagram ke features ke baare me.Instagram Kya Hai – Instagram in Hindi
Instagram photo aur video sharing ke liye use kiya jana wala sabse jyada popular Social Media App hai. Ye Application Kevin Systrom aur Mike Krieger ke dwara October 2010 me iOS device ke liye banaya gaya tha. Uske baad 2012 me Facebook ne ise khareed liya aur is App ko usi saal Android users ke liye aur kuch saal baad Window phone ke liye released kiya gaya.
Instagram App par aap WhatsApp ki hi tarah chatting kar sakte hai. Is App ko aap smart phone ke alawa PC (Computer aur Laptop) par bhi use kar sakte hai.
Instagram ko “IG” ke naam se bhi jana jaata hai. Yahan aapko friend request send karne ki zarurat nahi hoti. Aap yahan jisko chahe follow kar sakte hai. Aapko apna account private karne ka bhi option diya jata hai.
Jisse agar koi bhi person aapko follow karna chahta hai to aapki permission ke bad hi woh aapko follow kar sakta hai. Aur uske baad hi aapki post, photo, video aur stories dekh sakta hai.
Facebook aur Twitter ki tarah hi aap yahan bhi hashtag ka use kar sakte hai. Instagram ko aap dusre social networking sites ke sath bhi connect kar sakte hai jaise ki Facebook and Twitter. Connect karne ka matlab hai aap apne dusre social profiles par bhi Instagram se photos share kar sakte hai.
Instagram Par New Account Kaise Banaye – How to create New Instagram Account (Step by Step)?
Instagram par koi bhi person jiski age 13 saal hai ya usse uppar woh account bana sakta hai. Aap Smart phone and PC (Computer aur Laptop) dono se Account create kar sakte hai. Maine neeche aapko dono tariko se account create karna bataya hai.
Create new Instagram account from App:-
Step 1. Sabse pehle apne smart phone par Instagram App download karke install kar lijiye.
Step 2. Uske bad aapke pas option aayega “Sign Up With Email or Phone Number” to jahan bhi aap confirmation code lena chahte hai us par click kijiye. Maine yahan phone number se Sign Up kiya hai.
Aap chahe to Facebook account se bhi Log In kar sakte hai.
Step 3. App Mobile Ya Email Bhi Daal sakte Hai
Step 4. Phir aapke pas Instagram ke side se ek verification code ka text message aayega. Verification code enter karne ke bad jaise hi aap next par click karenge aapka accounte verified ho jayega.
Step 5. Ab iske bad jo naya page open hoga wahan aapko apna username aur password banakar dalna hai. Uske baad next par click karte hi aapka Instagram account create ho jayega.
Step 6. Account create hone ke bad aapko home page show hoga wahan aap apni profile picture, bio add kar sakte hai. Aur friend ko unke user name se search karke follow kar sakte hai ya phir apni contact list bhi jod sakte hai.
Create Instagram account on PC:-
Step 1. Sabse pehle www.instagram.com par jaye.
Step 2. Aapke samne ek form open hoga usey fill kare. Aapka Mobile number ya phir Email id, Full Name, Username aur Password create kare. Uske bad “Sign Up” par click kare. Aap chahe to Facebook se bhi Log In kar sakte hai.
Step 3. Sign Up par click karte hi ek 6 Digit code aapke number par aayega code enter karte hi “Confirm” par click kare. Click karne ke bad aapka number verified ho jayega.
Step 4. Ab aapka account create ho chuka hai. Uppar aapko jo bhi cheeze batayi gayi hai profile update ke liye aap unka use kar sakte hai.
Post a Comment